Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jaunpuri

  • Ghazal


un ko dil de ke pashemani hai


un ko dil de ke pashemānī hai
ye bhī ik tarah kī nādānī hai

vasl se aaj nayā hai inkār
tum ne kab baat mirī maanī hai

aap dete haiñ tasallī kis ko
ham ne ab aur hī kuchh Thānī hai

haal bin pūchhe kahe jaatā huuñ
apne matlab kī ye nādānī hai

kis qadar baar huuñ ġham-ḳhvāroñ par
kyā subuk merī girāñ-jānī hai

ghar bulā kar vo mujhe lauTte haiñ
ye na.ī tarah kī mehmānī hai

ham se vahshat kī na le o majnūñ
ham ne bhī ḳhaak bahut chhānī hai

ḳhaak uḌtī hai jidhar jaatā huuñ
kyā muqaddar kī pareshānī hai

ghar bhī vīrāna nazar aatā hai
haa.e kyā be-sar-o-sāmānī hai

aa.ī kyuuñ un kī shikāyat lab tak
ham ko ḳhud us kī pashemānī hai

kahīñ do din na rahā jam ke 'hafīz'
ek āvāra hai sailānī hai

un ko dil de ke pashemani hai
ye bhi ek tarah ki nadani hai

wasl se aaj naya hai inkar
tum ne kab baat meri mani hai

aap dete hain tasalli kis ko
hum ne ab aur hi kuchh Thani hai

haal bin puchhe kahe jata hun
apne matlab ki ye nadani hai

kis qadar bar hun gham-KHwaron par
kya subuk meri giran-jaani hai

ghar bula kar wo mujhe lauTte hain
ye nai tarah ki mehmani hai

hum se wahshat ki na le o majnun
hum ne bhi KHak bahut chhani hai

KHak uDti hai jidhar jata hun
kya muqaddar ki pareshani hai

ghar bhi virana nazar aata hai
hae kya be-sar-o-samani hai

aai kyun un ki shikayat lab tak
hum ko KHud us ki pashemani hai

kahin do din na raha jam ke 'hafiz'
ek aawara hai sailani hai


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-191 Page Number-177) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+