bahut ḳhush the sāhil qarīb aa gayā
safīna kināre se Takrā gayā
hai behad ḳhatarnāk bahr-e-jahāñ
jo insān bhī is meñ Duubā gayā
tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham
gayā shaiḳh ab vo zamāna gayā
mujhe zindagī kī duā.eñ na do
maiñ aisī duāoñ se uktā gayā
na samho kisī kī kisī baat ko
tumheñ kaun ye baat samjhā gayā
vafā.eñ nahīñ vo jafā.eñ nahīñ
nizām-e-jahāñ kuchh badal sā gayā
ye chhup chhup ke milnā bhī hai ik azaab
koī aa gayā vo koī aa gayā
yahāñ the to 'sarshār' kyā kuchh na the
ga.e vo to ḳhat bhī na bhejā gayā
bahut KHush the sahil qarib aa gaya
safina kinare se Takra gaya
hai behad KHatarnak bahr-e-jahan
jo insan bhi is mein Duba gaya
tere Dar se chhup-chhup ke pite the hum
gaya shaiKH ab wo zamana gaya
mujhe zindagi ki duaen na do
main aisi duaon se ukta gaya
na samho kisi ki kisi baat ko
tumhein kaun ye baat samjha gaya
wafaen nahin wo jafaen nahin
nizam-e-jahan kuchh badal sa gaya
ye chhup chhup ke milna bhi hai ek azab
koi aa gaya wo koi aa gaya
yahan the to 'sarshaar' kya kuchh na the
gae wo to KHat bhi na bheja gaya
Leave a comment