Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


hamein dekha na kar uDti nazar se


hameñ dekhā na kar uḌtī nazar se
umīdoñ ke nikal aate haiñ par se

ab un kī raakh palkoñ par jamī hai
ghaḌī bhar ḳhvāb chamke the sharar se

bachāne meñ lagī hai ḳhalq mujh ko
maiñ zaa.e.a ho rahā huuñ is hunar se

vo lahja-hā-e-dariyā-e-suḳhan meñ
musalsal bante rahte haiñ bhañvar se

samundar hai koī āñkhoñ meñ shāyad
kināroñ par chamakte haiñ guhar se

tavaqqo hai unheñ us abr se jo
dikhā.ī de idhar us or barse

zarā imkān kyā dekhā namī kā
nikal aa.e shajar dīvār-o-dar se

raqam dil par huā kyā kyā na pūchho
bayāñ honā hai ye qissa nazar se

sambhalte hī nahīñ ham se 'bakul' ab
bache haiñ din yahāñ jo muḳhtasar se

hamein dekha na kar uDti nazar se
umidon ke nikal aate hain par se

ab un ki rakh palkon par jami hai
ghaDi bhar KHwab chamke the sharar se

bachane mein lagi hai KHalq mujh ko
main zaea ho raha hun is hunar se

wo lahja-ha-e-dariya-e-suKHan mein
musalsal bante rahte hain bhanwar se

samundar hai koi aankhon mein shayad
kinaron par chamakte hain guhar se

tawaqqo hai unhen us abr se jo
dikhai de idhar us or barse

zara imkan kya dekha nami ka
nikal aae shajar diwar-o-dar se

raqam dil par hua kya kya na puchho
bayan hona hai ye qissa nazar se

sambhalte hi nahin hum se 'bakul' ab
bache hain din yahan jo muKHtasar se


Leave a comment

+