Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


thi alag rah magar tark mohabbat nahin ki


thī alag raah magar tark mohabbat nahīñ kī
us ne bhī sochā bahut ham ne bhī ujlat nahīñ kī

tū ne jo dard kī daulat hameñ dī thī us meñ
kuchh izāfa hī kiyā ham ne ḳhayānat nahīñ kī

zāviya kyā hai jo kartā hai tujhe sab se alag
kyuuñ tire ba.ad kisī aur kī hasrat nahīñ kī

aa.e aur aa ke chale bhī ga.e kyā kyā mausam
tum ne darvāza hī vā karne kī himmat nahīñ kī

apne atvār meñ kitnā baḌā shātir hogā
zindagī tujh se kabhī jis ne shikāyat nahīñ kī

ek ik saañs kā apne se liyā saḳht hisāb
ham bhī kyā the kabhī ḳhud se bhī muravvat nahīñ kī

thi alag rah magar tark mohabbat nahin ki
us ne bhi socha bahut hum ne bhi ujlat nahin ki

tu ne jo dard ki daulat hamein di thi us mein
kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki

zawiya kya hai jo karta hai tujhe sab se alag
kyun tere baad kisi aur ki hasrat nahin ki

aae aur aa ke chale bhi gae kya kya mausam
tum ne darwaza hi wa karne ki himmat nahin ki

apne atwar mein kitna baDa shatir hoga
zindagi tujh se kabhi jis ne shikayat nahin ki

ek ek sans ka apne se liya saKHt hisab
hum bhi kya the kabhi KHud se bhi murawwat nahin ki


Leave a comment

+