zabāñ pe harf-e-shikāyat are ma.āz-allāh
mujhe tire sitam-e-sabr-āzmā kī qasam
bas ik nigāh-e-karam kā umīd-vār huuñ maiñ
jafā-shi.ār tujhe merī iltijā kī qasam
tū hai bahār to dāman mirā ho kyuuñ ḳhālī
ise bhī bhar de guloñ se tujhe ḳhudā kī qasam
ġhazab kī chheḌ hai 'hādī' ye aur kyā kahiye
vo khā rahe haiñ mire tark-e-mudda.ā kī qasam
zaban pe harf-e-shikayat are maaz-allah
mujhe tere sitam-e-sabr-azma ki qasam
bas ek nigah-e-karam ka umid-war hun main
jafa-shiar tujhe meri iltija ki qasam
tu hai bahaar to daman mera ho kyun KHali
ise bhi bhar de gulon se tujhe KHuda ki qasam
ghazab ki chheD hai 'hadi' ye aur kya kahiye
wo kha rahe hain mere tark-e-muddaa ki qasam
Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 523) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Leave a comment