mil jaa.e mai to sajda-e-shukrāna chāhiye
piite hī ek laġhzish-e-mastāna chāhiye
haañ ehtirām-e-ka.aba-o-but-ḳhāna chāhiye
maz.hab kī pochhiye to judāgāna chāhiye
rindān-e-mai-parast siya-mast hī sahī
ai shaiḳh guftugū to sharīfāna chāhiye
dīvāngī hai aql nahīñ hai ki ḳhaam ho
dīvāna har lihāz se dīvāna chāhiye
is zindagī ko chāhiye sāmān-e-zindagī
kuchh bhī na ho to shīsha-o-paimāna chāhiye
o nañg-e-e.atibār duā par na rakh madār
o bevaqūf himmat-e-mardāna chāhiye
rahne de jām-e-jam mujhe anjām-e-jam sunā
khul jaa.e jis se aañkh vo afsāna chāhiye
mil jae mai to sajda-e-shukrana chahiye
pite hi ek laghzish-e-mastana chahiye
han ehtiram-e-kaba-o-but-KHana chahiye
mazhab ki pochhiye to judagana chahiye
rindan-e-mai-parast siya-mast hi sahi
ai shaiKH guftugu to sharifana chahiye
diwangi hai aql nahin hai ki KHam ho
diwana har lihaz se diwana chahiye
is zindagi ko chahiye saman-e-zindagi
kuchh bhi na ho to shisha-o-paimana chahiye
o nang-e-eatibar dua par na rakh madar
o bewaquf himmat-e-mardana chahiye
rahne de jam-e-jam mujhe anjam-e-jam suna
khul jae jis se aankh wo afsana chahiye
Leave a comment