Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Asghar

  • Ghazal


aisi hi zamin bana raha tha


aisī hī zamīñ banā rahā thā
par aur kahīñ banā rahā thā

us but ne jahāñ banāyā thā but
maiñ barsoñ vahīñ banā rahā thā

maiñ raat banā rahā thā lekin
tārīk nahīñ banā rahā thā

sūraj to banā rahā thā ruḳhsār
mahtāb jabīñ banā rahā thā

un āñkhoñ ko chūmtā havā meñ
kuchh aur hasīñ banā rahā thā

afsos vo ban nahīñ sakā jo
maiñ apne ta.iiñ banā rahā thā

maarā gayā bad-gumāniyāñ meñ
bechāra yaqīñ banā rahā thā

aisi hi zamin bana raha tha
par aur kahin bana raha tha

us but ne jahan banaya tha but
main barson wahin bana raha tha

main raat bana raha tha lekin
tarik nahin bana raha tha

suraj to bana raha tha ruKHsar
mahtab jabin bana raha tha

un aankhon ko chumta hawa mein
kuchh aur hasin bana raha tha

afsos wo ban nahin saka jo
main apne tain bana raha tha

mara gaya bad-gumaniyan mein
bechaara yaqin bana raha tha


Leave a comment

+