Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheed Quraishi

  • Ghazal


jidhar nigah uThi khinch gai nai diwar


jidhar nigāh uThī khiñch ga.ī na.ī dīvār
tilism-e-hosh-rubā meñ hai zindagī kā shumār

har ek samt musallat hai ghor tārīkī
bujhe bujhe nazar aa.e tamām shahr-o-dayār

ye shahr jaise chuḌailoñ kā koī maskan ho
zabāneñ guñg haiñ tarsāñ haiñ kūcha-o-bāzār

ḳhud apnī zaat meñ ham is tarah muqayyad haiñ
na dil meñ tāb-o-tavāñ hai na jur.at-e-iz.hār

jo apne siine pe aksar sajā ke rakhte haiñ
vo tamġha-hā-e-tahavvur to le ga.e aġhyār

kamāl-e-nāz thā apnī zaraf-nigāhī par
ajab ki paḌh na sake ham navishta-e-dīvār

vo maulvī ki usūloñ ke pāsbāñ the kabhī
vahī to bechte phirte haiñ jubba-o-dastār

varūd-e-sher pe hadd-e-adab ke pahre haiñ
jo sach kahoge to Thahroge ek din ġhaddār

'vahīd' kār-e-siyāsat hai kār-e-be-kārāñ
zabāñ ko rok lo qaa.em rahe adab kā vaqār

jidhar nigah uThi khinch gai nai diwar
tilism-e-hosh-ruba mein hai zindagi ka shumar

har ek samt musallat hai ghor tariki
bujhe bujhe nazar aae tamam shahr-o-dayar

ye shahr jaise chuDailon ka koi maskan ho
zabanen gung hain tarsan hain kucha-o-bazar

KHud apni zat mein hum is tarah muqayyad hain
na dil mein tab-o-tawan hai na jurat-e-izhaar

jo apne sine pe aksar saja ke rakhte hain
wo tamgha-ha-e-tahawwur to le gae aghyar

kamal-e-naz tha apni zaraf-nigahi par
ajab ki paDh na sake hum nawishta-e-diwar

wo maulwi ki usulon ke pasban the kabhi
wahi to bechte phirte hain jubba-o-dastar

warud-e-sher pe hadd-e-adab ke pahre hain
jo sach kahoge to Thahroge ek din ghaddar

'wahid' kar-e-siyasat hai kar-e-be-karan
zaban ko rok lo qaem rahe adab ka waqar


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 432) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+