Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepti Mishra

  • Ghazal


maine apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya


maiñ ne apnā haq māñgā thā vo nāhaq hī ruuTh gayā
bas itnī sī baat huī thī saath hamārā chhūT gayā

vo merā hai āḳhir ik din mujh ko mil hī jā.egā
mere man kā ek bharam thā kab tak rahtā TuuT gayā

duniyā bhar kī shān-o-shaukat jyuuñ kī tyuuñ hī dharī rahī
mere bai-rāgī man meñ jab sach aayā to jhuuT gayā

kyā jaane ye aañkh khulī yā phir se koī bharam huā
ab ke aise uchaTā dil kuchh chhoḌā aur kuchh chhūT gayā

laḌte laḌte āḳhir ik din panchhī kī hī jiit huī
parān pakherū ne tan chhoḌā ḳhālī piñjra chhūT gayā

main ne apna haq manga tha wo nahaq hi ruTh gaya
bas itni si baat hui thi sath hamara chhuT gaya

wo mera hai aaKHir ek din mujh ko mil hi jaega
mere man ka ek bharam tha kab tak rahta TuT gaya

duniya bhar ki shan-o-shaukat jyun ki tyun hi dhari rahi
mere bai-ragi man mein jab sach aaya to jhuT gaya

kya jaane ye aankh khuli ya phir se koi bharam hua
ab ke aise uchaTa dil kuchh chhoDa aur kuchh chhuT gaya

laDte laDte aaKHir ek din panchhi ki hi jit hui
paran pakheru ne tan chhoDa KHali pinjra chhuT gaya


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 651) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+