Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Ansar

  • Ghazal


har ek samt hai chhaya sukut ka manzar


har ek samt hai chhāyā sukūt kā manzar
dhaḌak rahā hai magar zalzala mire andar

zamīñ kā zarf falak kā vaqār rakhte haiñ
zamīñ-nazhād sahī āsmān par hai nazar

Darā na pā.eñge ham ko ye sar-phire tūfāñ
ki mauj-e-azm to jā kar rukegī sāhil par

tujhe ye naaz ki mirrīḳh tak tū jā pahuñchā
magar nazar nahīñ aatā hai tujh ko apnā ghar

ye zulmatoñ ke pujārī haiñ in se kuchh na kaho
dikhā.ī dete haiñ bāhar se ā.ina-paikar

guzar rahī hai ajab kashmakash meñ merī hayāt
na chain ghar ke hai andar na ghar ke hai bāhar

ajiib shahr kā aalam hai aaj ai 'najma'
na sāmne koī manzar na ab hai pas-manzar

har ek samt hai chhaya sukut ka manzar
dhaDak raha hai magar zalzala mere andar

zamin ka zarf falak ka waqar rakhte hain
zamin-nazhad sahi aasman par hai nazar

Dara na paenge hum ko ye sar-phire tufan
ki mauj-e-azm to ja kar rukegi sahil par

tujhe ye naz ki mirriKH tak tu ja pahuncha
magar nazar nahin aata hai tujh ko apna ghar

ye zulmaton ke pujari hain in se kuchh na kaho
dikhai dete hain bahar se aaina-paikar

guzar rahi hai ajab kashmakash mein meri hayat
na chain ghar ke hai andar na ghar ke hai bahar

ajib shahr ka aalam hai aaj ai 'najma'
na samne koi manzar na ab hai pas-manzar


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 463) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+