duniyā mizāj-dān-o-mizāj-āshnā na thī
duniyā ke paas zahar bahut thā davā na thī
raushan thā dil meñ sirf kisī yaad kā charāġh
ghar meñ koī bhī raushnī us ke sivā na thī
maiñ thā vafā-sarisht mujhe thī vafā aziiz
vo thā bahāna-jū use ḳhū-e-bahā na thī
yuuñ koī mere paas se ho kar guzar gayā
jaise kabhī nazar se nazar āshnā na thī
be-vaj.h sañgsār jo mujh ko kiyā gayā
vo thī ik intiqām kī sūrat sazā na thī
dil bhī kisī ke jaur pe thā dam-ba-ḳhud 'zafar'
lab par bhī ehtijāj kī koī sadā na thī
duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi
duniya ke pas zahar bahut tha dawa na thi
raushan tha dil mein sirf kisi yaad ka charagh
ghar mein koi bhi raushni us ke siwa na thi
main tha wafa-sarisht mujhe thi wafa aziz
wo tha bahana-ju use KHu-e-baha na thi
yun koi mere pas se ho kar guzar gaya
jaise kabhi nazar se nazar aashna na thi
be-wajh sangsar jo mujh ko kiya gaya
wo thi ek intiqam ki surat saza na thi
dil bhi kisi ke jaur pe tha dam-ba-KHud 'zafar'
lab par bhi ehtijaj ki koi sada na thi
Source: Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 129) Author : Nasir Zaidi Publication : Zahid Malik (1983) Edition : 1983
Leave a comment