Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahseen Firaqi

  • Ghazal


bahut se sail-e-hawadis ki zad pe bah gae hain


bahut se sail-e-havādis kī zad pe bah ga.e haiñ
ye chand ek daraḳhtān-e-sabz rah ga.e haiñ

makīn dasht ke fil-faur dasht chhoḌ ga.e
ki sher-zād ḳhamoshī se vaar sah ga.e haiñ

zamīn bāñjh hai nāzād ho ga.e khaliyān
agarche sub.h o masā baar baar gah ga.e haiñ

parindgāñ! tumheñ kuchh bhī ḳhabar na ho paa.ī
daraḳht Dhe ga.e ambār-e-āb bah ga.e haiñ

bahār ab ke jo guzrī to phir na aa.egī
bichhaḌne vaale bichhaḌte samay ye kah ga.e haiñ

bahut se sail-e-hawadis ki zad pe bah gae hain
ye chand ek daraKHtan-e-sabz rah gae hain

makin dasht ke fil-faur dasht chhoD gae
ki sher-zad KHamoshi se war sah gae hain

zamin banjh hai nazad ho gae khaliyan
agarche subh o masa bar bar gah gae hain

parindgan! tumhein kuchh bhi KHabar na ho pai
daraKHt Dhe gae ambar-e-ab bah gae hain

bahaar ab ke jo guzri to phir na aaegi
bichhaDne wale bichhaDte samay ye kah gae hain


Source: Book : Shakh-e-Zaryab (Pg. 45)

Leave a comment

+