dil meñ yād-e-raftagāñ ābād hai
varna ye dil bhī kahāñ ābād hai
ek maiñ ābād huuñ is shahr meñ
aur ik merā makāñ ābād hai
kis ke ye naqsh-e-qadam haiñ ḳhaak par
kaun aise meñ yahāñ ābād hai
bāb-e-umr-e-rā.igāñ kī lauh par
harf-e-ehsās-e-ziyāñ ābād hai
mere hone se na honā hai mirā
aag jalne se dhuāñ ābād hai
raunaq-e-dil kā hai aalam dīdanī
ḳhāna-e-āvārgāñ ābād hai
ik darīcha us galī meñ aaj tak
be-charāġh o be-nishāñ ābād hai
dil mein yaad-e-raftagan aabaad hai
warna ye dil bhi kahan aabaad hai
ek main aabaad hun is shahr mein
aur ek mera makan aabaad hai
kis ke ye naqsh-e-qadam hain KHak par
kaun aise mein yahan aabaad hai
bab-e-umr-e-raigan ki lauh par
harf-e-ehsas-e-ziyan aabaad hai
mere hone se na hona hai mera
aag jalne se dhuan aabaad hai
raunaq-e-dil ka hai aalam didani
KHana-e-awargan aabaad hai
ek daricha us gali mein aaj tak
be-charagh o be-nishan aabaad hai
Leave a comment