Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chand Akbarabadi

  • Ghazal


tu kash mile mujhko akeli to bataun


tū kaash mile mujh ko akelī to batā.ūñ
suljhe mirī qismat kī pahelī to batā.ūñ

aane se tire pahle ḳhabar de dī havā ne
āñkhoñ pe mire rakh tū hathelī to batā.ūñ

mahke haiñ tire jism kī ḳhushbū se fazā.eñ
nārāz na hoñ champā chamelī to batā.ūñ

kyoñ tere muqaddar meñ nahīñ merī mohabbat
dikhlā.e tū be-rañg hathelī to batā.ūñ

vīrāniyāñ tanhā.iyāñ mausam hai ḳhizāñ kā
anvār karo dil kī havelī to batā.ūñ

chehre pe mire raaz TaTolā na karo tum
hamrāz bane aañkh nashīlī to batā.ūñ

iz.hār-e-mohabbat kī talab dil meñ liye huuñ
tanhā jo mile terī sahelī to batā.ūñ

āñkhoñ meñ tirī yaad kahīñ zaḳhm na kar de
nikle ye agar phāñs nukīlī to batā.ūñ

tu kash mile mujh ko akeli to bataun
suljhe meri qismat ki paheli to bataun

aane se tere pahle KHabar de di hawa ne
aankhon pe mere rakh tu hatheli to bataun

mahke hain tere jism ki KHushbu se fazaen
naraaz na hon champa chameli to bataun

kyon tere muqaddar mein nahin meri mohabbat
dikhlae tu be-rang hatheli to bataun

viraniyan tanhaiyan mausam hai KHizan ka
anwar karo dil ki haweli to bataun

chehre pe mere raaz TaTola na karo tum
hamraaz bane aankh nashili to bataun

izhaar-e-mohabbat ki talab dil mein liye hun
tanha jo mile teri saheli to bataun

aankhon mein teri yaad kahin zaKHm na kar de
nikle ye agar phans nukili to bataun


Leave a comment

+