Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najm Aafandi

  • Ghazal


le lunga jaan de ke mohabbat jahan mile


le lūñgā jaan de ke mohabbat jahāñ mile
kuchh din meñ shāyad aur ye saudā garāñ mile

ai kārvān-e-ishq-o-vafā ke musāfiro
kahnā mirā salām bhī manzil jahāñ mile

hamvār kar mizāj bahār-o-ḳhizāñ se dil
mumkin nahīñ mizāj-e-bahār-o-ḳhizāñ mile

ye manzilat bhī hissa-e-dushman meñ aa.e kyuuñ
ham sar na phoḌ leñ jo tirā āstāñ mile

pahle hī se diloñ ke na milne kā Dhañg thā
jis moḌ par mile haiñ vo dāman-kashāñ mile

maiñ ne kiyā hai ek hī unvān se ḳhitāb
kis kis ke ruup meñ na mire mehrbāñ mile

kyuuñ jaa.e 'najm' aisī fazā chhoḌ kar kahīñ
rahne ko jis ke gulshan-e-hindostāñ mile

le lunga jaan de ke mohabbat jahan mile
kuchh din mein shayad aur ye sauda garan mile

ai karwan-e-ishq-o-wafa ke musafiro
kahna mera salam bhi manzil jahan mile

hamwar kar mizaj bahaar-o-KHizan se dil
mumkin nahin mizaj-e-bahaar-o-KHizan mile

ye manzilat bhi hissa-e-dushman mein aae kyun
hum sar na phoD len jo tera aastan mile

pahle hi se dilon ke na milne ka Dhang tha
jis moD par mile hain wo daman-kashan mile

main ne kiya hai ek hi unwan se KHitab
kis kis ke rup mein na mere mehrban mile

kyun jae 'najm' aisi faza chhoD kar kahin
rahne ko jis ke gulshan-e-hindostan mile


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+