baat kaisī bhī ho andāz nayā detā thā
aise hañstā thā ki vo sab ko rulā detā thā
koī māyūs jo miltā to na rahtā be-ās
rañg chehre pe tabassum kā sajā detā thā
umr bhar ret pe chaltā rahā lekin vo shaḳhs
taptī rāhoñ pe harī ghaas bichhā detā thā
koī anjām-e-mohabbat kī jo bāteñ kartā
phuul ke chehre pe shabnam vo dikhā detā thā
mirī ġhalatī pe bigaḌtā bhī bahut thā lekin
aur phir mujh ko vo jī bhar ke duā detā thā
baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha
aise hansta tha ki wo sab ko rula deta tha
koi mayus jo milta to na rahta be-as
rang chehre pe tabassum ka saja deta tha
umr bhar ret pe chalta raha lekin wo shaKHs
tapti rahon pe hari ghas bichha deta tha
koi anjam-e-mohabbat ki jo baaten karta
phul ke chehre pe shabnam wo dikha deta tha
meri ghalati pe bigaDta bhi bahut tha lekin
aur phir mujh ko wo ji bhar ke dua deta tha
Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 40) Author : Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003
Leave a comment