ek lamha Thahar gayā mujh meñ
vaqt jaise ki qaid thā mujh meñ
kitne ehsās bhar gayā mujh meñ
rakh gayā kaun aa.ina mujh meñ
kitne sūraj na.e ubhar aa.e
āsmāñ jab bikhar gayā mujh meñ
saare manzar mire ishāroñ par
bas ga.ī hai tirī adā mujh meñ
kaun sahrā meñ bas gayā aa kar
peḌ ugne lagā ghanā mujh meñ
maiñ kahāñ raat kā musāfir thā
chāñd ḳhud aa ke bas gayā mujh meñ
ai havā tez-gām mat chalnā
jal rahā hai kahīñ diyā mujh meñ
ek lamha Thahar gaya mujh mein
waqt jaise ki qaid tha mujh mein
kitne ehsas bhar gaya mujh mein
rakh gaya kaun aaina mujh mein
kitne suraj nae ubhar aae
aasman jab bikhar gaya mujh mein
sare manzar mere ishaaron par
bas gai hai teri ada mujh mein
kaun sahra mein bas gaya aa kar
peD ugne laga ghana mujh mein
main kahan raat ka musafir tha
chand KHud aa ke bas gaya mujh mein
ai hawa tez-gam mat chalna
jal raha hai kahin diya mujh mein
Source: Book : Dhund Mein Amaan (Pg. 82) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2011) Edition : 2011
Leave a comment