zikr har sub.h o shaam hai terā
vird-e-āshiq kuuñ naam hai terā
mat kar āzād dām-e-zulf siiñ dil
bāl-bāñdhā ġhulām hai terā
lashkar-e-ġham ne dil siiñ kuuch kiyā
jab se is meñ maqām hai terā
jām-e-mai kā pilānā hai be-rañg
shauq jin kuuñ mudām hai terā
aaj 'nājī' se ram na kar ai shoḳh
dekh muddat siiñ raam hai terā
zikr har subh o sham hai tera
wird-e-ashiq kun nam hai tera
mat kar aazad dam-e-zulf sin dil
baal-bandha ghulam hai tera
lashkar-e-gham ne dil sin kuch kiya
jab se is mein maqam hai tera
jam-e-mai ka pilana hai be-rang
shauq jin kun mudam hai tera
aaj 'naji' se ram na kar ai shoKH
dekh muddat sin ram hai tera
RECITATIONS
Fasih Akmal
00:00/00:00
zikr har subh o sham hai tera
Fasih Akmal
Leave a comment