Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahira Jabeen Tara

  • Ghazal


KHwab Daste rahe bikharte rahe


ḳhvāb Daste rahe bikharte rahe
karb ke lamhe yuuñ guzarte rahe

kho ga.e yaar ham-safar bichhḌe
dil meñ dukh hijr ke utarte rahe

hai yahī ek ziist kā darmāñ
ashk āñkhoñ ke dil meñ girte rahe

chhā ga.iiñ zulmateñ zamāne meñ
lāshe har samt hī bikharte rahe

laakh ham tujh ko bhūlnā chāheñ
naqsh miT miT ke phir ubharte rahe

dard kī choT dil pe paḌtī rahī
har ghaḌī zaḳhm-e-dil nikharte rahe

KHwab Daste rahe bikharte rahe
karb ke lamhe yun guzarte rahe

kho gae yar ham-safar bichhDe
dil mein dukh hijr ke utarte rahe

hai yahi ek zist ka darman
ashk aankhon ke dil mein girte rahe

chha gain zulmaten zamane mein
lashe har samt hi bikharte rahe

lakh hum tujh ko bhulna chahen
naqsh miT miT ke phir ubharte rahe

dard ki choT dil pe paDti rahi
har ghaDi zaKHm-e-dil nikharte rahe


Leave a comment

+