Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


munawwar ho ke kitni dastan-e-ashiqi aai


munavvar ho ke kitnī dāstān-e-āshiqī aa.ī
jahāñ tak zikr-e-ġham aayā nazar meñ raushnī aa.ī

tirī ik ik nazar le kar payām-e-zindagī aa.ī
mirī jānib se lekin kab mohabbat meñ kamī aa.ī

jabīn-e-shauq meñ jab koī shān-e-kāfirī aa.ī
to istiqbāl karne har qadam par bandagī aa.ī

ye jān-e-āshiqī hai is ko kis dil se judā kar duuñ
na jaane kitne ġham sah kar to mujh tak bekasī aa.ī

zahe qismat ki us ko dard-e-mahrūmī pasand aayā
mohabbat aish-e-do-ālam ko Thukrātī huī aa.ī

ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhī kyā hāsil
zabāñ par un kā naam aayā ki āñkhoñ meñ namī aa.ī

kisī sūrat meñ ho ye dil kī nisbat chhup nahīñ saktī
mire rone pe āḳhir ik tumhīñ ko kyoñ hañsī aa.ī

munawwar ho ke kitni dastan-e-ashiqi aai
jahan tak zikr-e-gham aaya nazar mein raushni aai

teri ek ek nazar le kar payam-e-zindagi aai
meri jaanib se lekin kab mohabbat mein kami aai

jabin-e-shauq mein jab koi shan-e-kafiri aai
to istiqbaal karne har qadam par bandagi aai

ye jaan-e-ashiqi hai is ko kis dil se juda kar dun
na jaane kitne gham sah kar to mujh tak bekasi aai

zahe qismat ki us ko dard-e-mahrumi pasand aaya
mohabbat aish-e-do-alam ko Thukraati hui aai

ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhi kya hasil
zaban par un ka nam aaya ki aankhon mein nami aai

kisi surat mein ho ye dil ki nisbat chhup nahin sakti
mere rone pe aaKHir ek tumhin ko kyon hansi aai


Leave a comment

+