Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dil Ayubi

  • Ghazal


naqd-e-dil hai ki gareban ke har tar mein hai


naqd-e-dil hai ki garebān ke har taar meñ hai
hausla ab bhī bahut tere ḳharīdār meñ hai

yaañ koī sho.ala-ba-jāñ aur bhī Thahrā hogā
kis qayāmat kī tapish sāya-e-dīvār meñ hai

kitnā miltā hai mire qalb kī kaifiyyat se
ye jo hañgāma tire kūcha-o-bāzār meñ hai

zaḳhm ehsās ko jo zahr harā hī rakkhe
teġh-e-āhan meñ nahīñ baat kī talvār meñ hai

saare gulshan ko jalāne ke liye kaafī hai
ek sho.ala jo dil murġh-e-giraftār meñ hai

zāmin nashv-o-numā-e-gul-e-tar hai ai 'dil'
dard-mandī kī ḳhalish sī jo dil-e-ḳhār meñ hai

naqd-e-dil hai ki gareban ke har tar mein hai
hausla ab bhi bahut tere KHaridar mein hai

yan koi shoala-ba-jaan aur bhi Thahra hoga
kis qayamat ki tapish saya-e-diwar mein hai

kitna milta hai mere qalb ki kaifiyyat se
ye jo hangama tere kucha-o-bazar mein hai

zaKHm ehsas ko jo zahr hara hi rakkhe
tegh-e-ahan mein nahin baat ki talwar mein hai

sare gulshan ko jalane ke liye kafi hai
ek shoala jo dil murgh-e-giraftar mein hai

zamin nashw-o-numa-e-gul-e-tar hai ai 'dil'
dard-mandi ki KHalish si jo dil-e-KHar mein hai


Source: Book : Aaina-e-Dil (Pg. 44) Author : Dil Ayubi Publication : Nazish Book Center Lahore (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+