Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge


kab tak dil kī ḳhair manā.eñ kab tak rah dikhlāoge
kab tak chain kī mohlat doge kab tak yaad na aaoge

biitā diid ummīd kā mausam ḳhaak uḌtī hai āñkhoñ meñ
kab bhejoge dard kā bādal kab barkhā barsāoge

ahd-e-vafā yā tark-e-mohabbat jo chāho so aap karo
apne bas kī baat hī kyā hai ham se kyā manvāoge

kis ne vasl kā sūraj dekhā kis par hijr kī raat Dhalī
gesuoñ vaale kaun the kyā the un ko kyā jatlāoge

'faiz' diloñ ke bhaag meñ hai ghar bharnā bhī luT jaanā thī
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itrāoge

kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge

bita did ummid ka mausam KHak uDti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaoge

ahd-e-wafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai hum se kya manwaoge

kis ne wasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat Dhali
gesuon wale kaun the kya the un ko kya jatlaoge

'faiz' dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi luT jaana thi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Bharathi Vishwanathan RECITATIONS Iqbal Bano



00:00/00:00 kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge Iqbal Bano

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 440)

Leave a comment

+