ye kārobār-e-chaman is ne jab sambhālā hai
fazā meñ lāla-o-gul kā lahū uchhālā hai
hameñ ḳhabar hai ki ham haiñ charāg-e-āḳhir-e-shab
hamāre ba.ad añdherā nahīñ ujālā hai
hujūm-e-gul meñ chahakte hue saman-posho
zamīn-e-sehn-e-chaman aaj bhī jvālā hai
hamāre ishq se dard-e-jahāñ ibārat hai
hamārā ishq havas se buland-o-bālā hai
sunā hai aaj ke din zindagī shahīd huī
isī ḳhushī meñ har ik samt dīp-mālā hai
zahīr ham ko ye ahd-e-bahār raas nahīñ
har ek phuul ke siine par ek chhālā hai
ye karobar-e-chaman is ne jab sambhaala hai
faza mein lala-o-gul ka lahu uchhaala hai
hamein KHabar hai ki hum hain charag-e-aKHir-e-shab
hamare baad andhera nahin ujala hai
hujum-e-gul mein chahakte hue saman-posho
zamin-e-sehn-e-chaman aaj bhi jwala hai
hamare ishq se dard-e-jahan ibarat hai
hamara ishq hawas se buland-o-baala hai
suna hai aaj ke din zindagi shahid hui
isi KHushi mein har ek samt dip-mala hai
zahir hum ko ye ahd-e-bahaar ras nahin
har ek phul ke sine par ek chhaala hai
Source: Book : Range-e-Gazal (Pg. 273)
Leave a comment