Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


mujh mein usMein hijab tha na raha


mujh meñ us meñ hijāb thā na rahā
pahle jo iztirāb thā na rahā

kufr hī diin ban gayā merā
kufr meñ jo hijāb thā na rahā

lazzat-e-sub.h-o-shām bhuul ga.e
dil jo bhun kar kabāb thā na rahā

be-hayā.ī kī oḌh lī chādar
pahle vo aab aab thā na rahā

is ne ab saath merā chhoḌ diyā
ishq meñ kāmyāb thā na rahā

roz-o-shab chain se guzarte haiñ
vaqt meñ pech-o-tāb thā na rahā

ho ga.e us ke dar ke pahre-dār
merā jiinā azaab thā na rahā

shaam hote hī bujh gayā 'ājiz'
ek muflis kā ḳhvāb thā na rahā

mujh mein us mein hijab tha na raha
pahle jo iztirab tha na raha

kufr hi din ban gaya mera
kufr mein jo hijab tha na raha

lazzat-e-subh-o-sham bhul gae
dil jo bhun kar kabab tha na raha

be-hayai ki oDh li chadar
pahle wo aab aab tha na raha

is ne ab sath mera chhoD diya
ishq mein kaamyab tha na raha

roz-o-shab chain se guzarte hain
waqt mein pech-o-tab tha na raha

ho gae us ke dar ke pahre-dar
mera jina azab tha na raha

sham hote hi bujh gaya 'ajiz'
ek muflis ka KHwab tha na raha


Leave a comment

+