Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Shanawar

  • Ghazal


tere dil se utar chuka hun main


tere dil se utar chukā huuñ maiñ
aisā lagtā hai mar chukā huuñ maiñ

ab mujhe kis tarah sameToge
reza reza bikhar chukā huuñ maiñ

terī be-e'tinā.iyoñ ke sabab
zarf kahtā hai bhar chukā huuñ maiñ

tujh ko saarī duā.eñ lag jaa.eñ
ab to jiine se Dar chukā huuñ maiñ

ek ġham aur muntazir hai mirā
ek ġham se guzar chukā huuñ maiñ

tujh ko nafrat se hī nahīñ fursat
chāhatoñ maiñ sañvar chukā huuñ maiñ

ā.īna ab nahīñ hai gard-ālūd
ro chukā huuñ nikhar chukā huuñ maiñ

ḳhud se laḌnā bahut hī mushkil hai
terī ḳhātir ye kar chukā huuñ maiñ

ab to bāhar nikāl paanī se
dekh ab to ubhar chukā huuñ maiñ

tere dil se utar chuka hun main
aisa lagta hai mar chuka hun main

ab mujhe kis tarah sameToge
reza reza bikhar chuka hun main

teri be-e'tinaiyon ke sabab
zarf kahta hai bhar chuka hun main

tujh ko sari duaen lag jaen
ab to jine se Dar chuka hun main

ek gham aur muntazir hai mera
ek gham se guzar chuka hun main

tujh ko nafrat se hi nahin fursat
chahaton main sanwar chuka hun main

aaina ab nahin hai gard-alud
ro chuka hun nikhar chuka hun main

KHud se laDna bahut hi mushkil hai
teri KHatir ye kar chuka hun main

ab to bahar nikal pani se
dekh ab to ubhar chuka hun main


Leave a comment

+