Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat


kaun hamārā dard baTā.e kaun hamārā thāme haat
un ke nagar meñ jagmag-jagmag apne des meñ raat hī raat

niile niile ambar par vo chāñd vo kirnoñ kī barsāt
ham donoñ kho.e kho.e se haa.e vo mast-manohar ghaat

tū gulshan gulshan iThlā.e maiñ sahrā sahrā bhaTkūñ
dil kā ye saudā hai varna terā aur merā kyā saat

sab duniyā-dārī kī bāteñ dil meñ aur zabāñ par aur
tujh se pyaar baḌhā kar āḳhir jaan ga.e terī auqāt

chāhe ab is ko apnāo chāhe naaz se Thukrāo
aaj se apnā daḳhl nahīñ hai dil kī Dor tumhāre haat

duniyā kā manshā hai pyāre ham ghuT ghuT kar mar jaa.eñ
dil kī dhaḌkan ye kahtī hai ik din badleñge hālāt

ek anokhī lai se maiñ ne sab ke dil pighlā.e haiñ
duniyā ko ye vahm ki mere hoñToñ par hai apnī baat

kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat
un ke nagar mein jagmag-jagmag apne des mein raat hi raat

nile nile ambar par wo chand wo kirnon ki barsat
hum donon khoe khoe se hae wo mast-manohar ghat

tu gulshan gulshan iThlae main sahra sahra bhaTkun
dil ka ye sauda hai warna tera aur mera kya sat

sab duniya-dari ki baaten dil mein aur zaban par aur
tujh se pyar baDha kar aaKHir jaan gae teri auqat

chahe ab is ko apnao chahe naz se Thukrao
aaj se apna daKHl nahin hai dil ki Dor tumhaare hat

duniya ka mansha hai pyare hum ghuT ghuT kar mar jaen
dil ki dhaDkan ye kahti hai ek din badlenge haalat

ek anokhi lai se main ne sab ke dil pighlae hain
duniya ko ye wahm ki mere honTon par hai apni baat


Source: Book : Noquush (Pg. B-375 E389) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+