jo añdherī chhat pe ḳhayāl haiñ unheñ raushnī meñ utaar le
ye jo husn hai tirī soch meñ use shā.irī meñ utaar le
ai suḳhan-shanās-e-jadīd sun koī harf tujh se na chhūT jaa.e
jo na marsiya ko qubūl ho use ruḳhsatī meñ utaar le
tujhe zindagī kisī moḌ par koī kaam aa.e to phone kar
mire numbarāt sambhāl kar kisī Diary meñ utaar le
tire naam ko tire dushmanāñ lab-e-āsmān pe pā.eñge
ye jo guftugū meñ junūn hai use ḳhāmushī meñ utaar le
zarā fārsī ke imaam sun maiñ zabān-e-hind meñ huuñ to kyā
maiñ tire mizāj kā lafz huuñ mujhe fārsī meñ utaar le
ye jo ūñche ūñche makān haiñ unheñ dekh kar na malūl ho
tirā sabr-o-zabt nasīb hai dil-e-muflisī meñ utaar le
ye yaqīn shart-e-yaqīn hai vo amiin hai vo amiin hai
ai 'sa.ūd' us ko yaqīn se rag-e-zindagī meñ utaar le
jo andheri chhat pe KHayal hain unhen raushni mein utar le
ye jo husn hai teri soch mein use shairi mein utar le
ai suKHan-shanas-e-jadid sun koi harf tujh se na chhuT jae
jo na marsiya ko qubul ho use ruKHsati mein utar le
tujhe zindagi kisi moD par koi kaam aae to phone kar
mere numbaraat sambhaal kar kisi Diary mein utar le
tere nam ko tere dushmanan lab-e-asman pe paenge
ye jo guftugu mein junun hai use KHamushi mein utar le
zara farsi ke imam sun main zaban-e-hind mein hun to kya
main tere mizaj ka lafz hun mujhe farsi mein utar le
ye jo unche unche makan hain unhen dekh kar na malul ho
tera sabr-o-zabt nasib hai dil-e-muflisi mein utar le
ye yaqin shart-e-yaqin hai wo amin hai wo amin hai
ai 'saud' us ko yaqin se rag-e-zindagi mein utar le
Leave a comment