Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Hoshiarpuri

  • Ghazal


be-chaargi-e-hasrat-e-didar dekhna


be-chārgī-e-hasrat-e-dīdār dekhnā
mushkil na dekhnā hai to dushvār dekhnā

lamhāt-e-intizār kī raftār dekhnā
vo baar baar sāya-e-dīvār dekhnā

yuuñ dekhnā ki TuuTe na rishta nigāh kā
ik baar dekhne meñ vo sau baar dekhnā

yā sub.h hī se shaam kā pur-kaif intizār
yā shaam hī se sub.h ke āsār dekhnā

kyā dil-fareb hai tire ḳhvāb-e-girāñ kā husn
tujh se nihāñ tire lab-o-ruḳhsār dekhnā

dard-e-firāq kī sahar-e-avvalīñ 'hafīz'
uThte hī jānib-e-dar-o-dīvār dekhnā

be-chaargi-e-hasrat-e-didar dekhna
mushkil na dekhna hai to dushwar dekhna

lamhat-e-intizar ki raftar dekhna
wo bar bar saya-e-diwar dekhna

yun dekhna ki TuTe na rishta nigah ka
ek bar dekhne mein wo sau bar dekhna

ya subh hi se sham ka pur-kaif intizar
ya sham hi se subh ke aasar dekhna

kya dil-fareb hai tere KHwab-e-giran ka husn
tujh se nihan tere lab-o-ruKHsar dekhna

dard-e-firaq ki sahar-e-awwalin 'hafiz'
uThte hi jaanib-e-dar-o-diwar dekhna


Source: Book : Naya daur (Pg. 238) Author : Qamar Sultana

Leave a comment

+