jādū-Tonā jāntā hai
ġhā.eb honā jāntā hai
dost hai vo gahrā lekin
dushman honā jāntā hai
terī aahaT ko us ghar kā
konā konā jāntā hai
rishtoñ kī turpāī karnā
siinā pironā jāntā hai
bachchoñ ko vo hīre-motī
chāñdī-sonā jāntā hai
paap nahīñ hai jis ke dil meñ
chain se sonā jāntā hai
apne matlab kī ḳhātir vo
sab kuchh honā jāntā hai
hañsnā aa jaatā hai us ko
jo bhī ronā jāntā hai
jadu-Tona jaanta hai
ghaeb hona jaanta hai
dost hai wo gahra lekin
dushman hona jaanta hai
teri aahaT ko us ghar ka
kona kona jaanta hai
rishton ki turpai karna
sina pirona jaanta hai
bachchon ko wo hire-moti
chandi-sona jaanta hai
pap nahin hai jis ke dil mein
chain se sona jaanta hai
apne matlab ki KHatir wo
sab kuchh hona jaanta hai
hansna aa jata hai us ko
jo bhi rona jaanta hai
Leave a comment