Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


tujh pe donon nisar hain qatil


tujh pe donoñ nisār haiñ qātil
jān-e-muztar ho yā dil-e-bismil

qahr hai qahr-e-ishq kī manzil
har qadam aag hai na.ī mushkil

ho ga.e dekh kar vo ā.īna
apnī sūrat pe aap hī maa.il

ġham se āzād kar diyā ham ko
kyoñ na pīr-e-muġhāñ ke hoñ qaa.il

kis qadar dil-kushā fazā hogī
aap jab hoñge zīnat-e-mahfil

ādamiyat ko naaz thā jin par
ab vo daanā rahe na vo aaqil

chāra-sāzī marīz-e-ulfat kī
aap ke vāste nahīñ mushkil

ārzūoñ meñ mach ga.ī halchal
kaun ye yaad aa gayā ai dil

tū ubhāre jo ham ko pastī se
tujh ko yārab nahīñ koī mushkil

haa.e jo baat bhī kahī maiñ ne
zer-e-lab tū ne kah diyā mohmil

kyā bharosa kareñ kisī pe 'naresh'
aadmī aadmī kā hai qātil

tujh pe donon nisar hain qatil
jaan-e-muztar ho ya dil-e-bismil

qahr hai qahr-e-ishq ki manzil
har qadam aag hai nai mushkil

ho gae dekh kar wo aaina
apni surat pe aap hi mail

gham se aazad kar diya hum ko
kyon na pir-e-mughan ke hon qail

kis qadar dil-kusha faza hogi
aap jab honge zinat-e-mahfil

aadamiyat ko naz tha jin par
ab wo dana rahe na wo aaqil

chaara-sazi mariz-e-ulfat ki
aap ke waste nahin mushkil

aarzuon mein mach gai halchal
kaun ye yaad aa gaya ai dil

tu ubhaare jo hum ko pasti se
tujh ko yarab nahin koi mushkil

hae jo baat bhi kahi main ne
zer-e-lab tu ne kah diya mohmil

kya bharosa karen kisi pe 'naresh'
aadmi aadmi ka hai qatil


Source:

Leave a comment

+