lambā safar hai sūd-o-ziyāñ dekhte raho
tum inqalāb-e-kaun-o-makāñ dekhte raho
āñkheñ karoge band to uTTheñgī uñgliyāñ
daur-e-bahār ho ki ḳhizāñ dekhte raho
ā.īna dil kā hai jo shikasta to kyā huā
tum ab kamāl-e-shīsha-garāñ dekhte raho
aaseb kī misāl haiñ ye rāste tamām
jaa.e bhaTak ke kaun kahāñ dekhte raho
dil aur sham.a donoñ barābar haiñ soḳhta
uThtā hai kis jagah se dhuāñ dekhte raho
lamba safar hai sud-o-ziyan dekhte raho
tum inqalab-e-kaun-o-makan dekhte raho
aankhen karoge band to uTThengi ungliyan
daur-e-bahaar ho ki KHizan dekhte raho
aaina dil ka hai jo shikasta to kya hua
tum ab kamal-e-shisha-garan dekhte raho
aaseb ki misal hain ye raste tamam
jae bhaTak ke kaun kahan dekhte raho
dil aur shama donon barabar hain soKHta
uThta hai kis jagah se dhuan dekhte raho
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 658) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment