Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


go ye gham hai ki wo habib nahin


go ye ġham hai ki vo habīb nahīñ
par ḳhushī hai koī raqīb nahīñ

kyuuñ na hoñ tifl-e-ashk āvāra
ki moallim nahīñ adiib nahīñ

kal tasavvur meñ aa.ī jo shab-e-gor
shab-e-furqat se vo muhīb nahīñ

haiñ savārī ke saath fariyādī
koī aur aap kā naqīb nahīñ

muddatoñ se huuñ jāntā huuñ vatan
dasht-e-ġhurbat meñ maiñ ġharīb nahīñ

tujh se ai dil ḳhudā to hai aqrab
ġham nahīñ but agar qarīb nahīñ

jaan kyuuñ kar bachegī furqat meñ
haiñ adū saikḌoñ habīb nahīñ

zindagānī maraz hai maut shifā
juz ajal koī ab tabīb nahīñ

jiite jī pā.ūñ dost kā dīdār
'nāsiḳh' aise mire nasīb nahīñ

go ye gham hai ki wo habib nahin
par KHushi hai koi raqib nahin

kyun na hon tifl-e-ashk aawara
ki moallim nahin adib nahin

kal tasawwur mein aai jo shab-e-gor
shab-e-furqat se wo muhib nahin

hain sawari ke sath fariyaadi
koi aur aap ka naqib nahin

muddaton se hun jaanta hun watan
dasht-e-ghurbat mein main gharib nahin

tujh se ai dil KHuda to hai aqrab
gham nahin but agar qarib nahin

jaan kyun kar bachegi furqat mein
hain adu saikDon habib nahin

zindagani maraz hai maut shifa
juz ajal koi ab tabib nahin

jite ji paun dost ka didar
'nasiKH' aise mere nasib nahin


Leave a comment

+