tamāshe chuTkule taalī meñ mat rakh
adab ko aisī bad-halī meñ mat rakh
ki zahr ho jā.eñge pakvān saare
unheñ ehsās kī thālī meñ mat rakh
ḳhayāloñ kā parinda kah rahā hai
mujhe ākāsh de jaalī meñ mat rakh
udāsī ḳhuun meñ ghul jā.egī phir
use tū chaa.e kī pyālī meñ mat rakh
baḌak-pan peḌ sikhlāte haiñ ham ko
pake phal ko kabhī Daalī meñ mat rakh
kamāne meñ bahut kuchh kho gayā hai
kisī ko aisī kañgālī meñ mat rakh
tamashe chuTkule tali mein mat rakh
adab ko aisi bad-hali mein mat rakh
ki zahr ho jaenge pakwan sare
unhen ehsas ki thaali mein mat rakh
KHayalon ka parinda kah raha hai
mujhe aakash de jali mein mat rakh
udasi KHun mein ghul jaegi phir
use tu chae ki pyali mein mat rakh
baDak-pan peD sikhlate hain hum ko
pake phal ko kabhi Dali mein mat rakh
kamane mein bahut kuchh kho gaya hai
kisi ko aisi kangali mein mat rakh
Source: Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 140) Author : Pratap Somvanshi Publication : Vani Prakashan (2016) Edition : 2016
Leave a comment