Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Saood Kiratpuri

  • Ghazal


kisi kaghaz ke sine par ye jazba darj kar dena


kisī kāġhaz ke siine par ye jazba darj kar denā
mire bhaa.ī ke haq meñ merā hissa darj kar denā

ka.ī pahlū sabaq-āmez is qisse meñ mub.ham haiñ
hamāre saath guzrā hai ye qissa darj kar denā

agar hañsne hañsāne par koī column likhā jaa.e
to mere hukmarānoñ kā ravayya darj kar denā

ga.e vaqtoñ meñ ronā qarz thā so ro chukā huuñ maiñ
purānā kaaT denā aur uglā darj kar denā

tasavvur meñ qalam kuchh is tarah goyā huā mujh par
kahīñ dariyā ke dil par mujh ko pyāsā darj kar denā

kirāman kātibīñ tum ko qasam ḳhilqat ke ḳhāliq kī
mirī gustāḳhiyoñ par lafz tauba darj kar denā

agar kāġhaz ke chehre ko sajānā ho kabhī 'tāhir'
lab-e-kāġhaz pe koī ek misrā darj kar denā

kisi kaghaz ke sine par ye jazba darj kar dena
mere bhai ke haq mein mera hissa darj kar dena

kai pahlu sabaq-amez is qisse mein mubham hain
hamare sath guzra hai ye qissa darj kar dena

agar hansne hansane par koi column likha jae
to mere hukmaranon ka rawayya darj kar dena

gae waqton mein rona qarz tha so ro chuka hun main
purana kaT dena aur ugla darj kar dena

tasawwur mein qalam kuchh is tarah goya hua mujh par
kahin dariya ke dil par mujh ko pyasa darj kar dena

kiraman katibin tum ko qasam KHilqat ke KHaliq ki
meri gustaKHiyon par lafz tauba darj kar dena

agar kaghaz ke chehre ko sajaana ho kabhi 'tahir'
lab-e-kaghaz pe koi ek misra darj kar dena


Leave a comment

+