zindagī ko kar gayā jañgal koī
le gayā ḳhushiyoñ kā merī pal koī
dhañs rahā hai har qadam merā yahāñ
raah meñ darpesh hai daldal koī
koī kañkar pheñkne vaalā nahīñ
kaise phir ho jhiil meñ halchal koī
zindagī thī ek sahrā kī tarah
zindagī ko kar gayā jal-thal koī
hosh bhī apnā nahīñ rahtā mujhe
kar rahā kitnā 'zafar' pāgal koī
zindagi ko kar gaya jangal koi
le gaya KHushiyon ka meri pal koi
dhans raha hai har qadam mera yahan
rah mein darpesh hai daldal koi
koi kankar phenkne wala nahin
kaise phir ho jhil mein halchal koi
zindagi thi ek sahra ki tarah
zindagi ko kar gaya jal-thal koi
hosh bhi apna nahin rahta mujhe
kar raha kitna 'zafar' pagal koi
Leave a comment