Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


ye hawa kaisi chali barham zamana ho gaya


ye havā kaisī chalī barham zamāna ho gayā
hāl-e-dehlī bazm-e-ālam meñ fasāna ho gayā

dil kisī fard-e-bashar kā ḳhālī is ġham se nahīñ
ġham ye shaa.e kū-ba-kū ḳhāna-ba-ḳhāna ho gayā

har sar-e-mizhgāñ na ho favvāra-e-ḳhūñ kis tarah
ġham-zadoñ ke dil meñ jab ġham kā ḳhazāna ho gayā

ek ho to roiye kis kis ko ro.eñ yaad kar
dekh kar us hādisa ko dil dīvāna ho gayā

dekhte hī dekhte āñkhoñ meñ aage apne yaañ
dam ke dam meñ aur hī kuchh kārḳhāna ho gayā

aah gulgūn-e-bahār-e-gulshan dehlī ko 'aish'
mauja-e-bād-e-ḳhizāñ kyā tāziyāna ho gayā

ye hawa kaisi chali barham zamana ho gaya
haal-e-dehli bazm-e-alam mein fasana ho gaya

dil kisi fard-e-bashar ka KHali is gham se nahin
gham ye shae ku-ba-ku KHana-ba-KHana ho gaya

har sar-e-mizhgan na ho fawwara-e-KHun kis tarah
gham-zadon ke dil mein jab gham ka KHazana ho gaya

ek ho to roiye kis kis ko roen yaad kar
dekh kar us hadisa ko dil diwana ho gaya

dekhte hi dekhte aankhon mein aage apne yan
dam ke dam mein aur hi kuchh karKHana ho gaya

aah gulgun-e-bahaar-e-gulshan dehli ko 'aish'
mauja-e-baad-e-KHizan kya taziyana ho gaya


Leave a comment

+