Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghazanfar

  • Ghazal


kai aise bhi raste mein hamare moD aate hain


ka.ī aise bhī raste meñ hamāre moḌ aate haiñ
ki ghar aate hue apne ko akasr chhoḌ aate haiñ

hameñ rishtoñ se kyā matlūb hai āḳhir ki rozāna
kisī se toḌ aate haiñ kisī se joḌ aate haiñ

na jaane kis tarah bistar meñ ghus kar baiTh jaatī haiñ
vo āvāzeñ jinheñ ham roz bāhar chhoḌ aate haiñ

koī to maslahat hogī ki ham ḳhāmosh baiThe haiñ
hameñ bhī varna un ke ToTkoñ ke toḌ aate haiñ

chubhan sahte haiñ un kī par unheñ khulne nahīñ dete
hamāre darmiyāñ aise bhī kuchh gaThjoḌ aate haiñ

kai aise bhi raste mein hamare moD aate hain
ki ghar aate hue apne ko akasr chhoD aate hain

hamein rishton se kya matlub hai aaKHir ki rozana
kisi se toD aate hain kisi se joD aate hain

na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jati hain
wo aawazen jinhen hum roz bahar chhoD aate hain

koi to maslahat hogi ki hum KHamosh baiThe hain
hamein bhi warna un ke ToTkon ke toD aate hain

chubhan sahte hain un ki par unhen khulne nahin dete
hamare darmiyan aise bhi kuchh gaThjoD aate hain


Source: Book : Aank Mein Luknat (Pg. 88) Author : Ghazanfar Publication : Maktaba Jamia Ltd (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+