namkīñ harf hai mirā ye fasīh
kullo shai.in minal-malīh malīh
va qinā rabbanā azābannār
sham.a kī hai hamesha ye tasbīh
laminal-mā.a kullo shai.in hay
sharb-e-mai se huā hai mujh ko sahīh
mislahu laisa vāhidun ġharrā
māh-e-kan.āñ bhī thā agarche fasīh
jī meñ aave so kah tū 'tābāñ' ko
laisa min fiika shatamnā be-qabīh
namkin harf hai mera ye fasih
kullo shain minal-malih malih
wa qina rabbana azabannar
shama ki hai hamesha ye tasbih
laminal-maa kullo shain hay
sharb-e-mai se hua hai mujh ko sahih
mislahu laisa wahidun gharra
mah-e-kanan bhi tha agarche fasih
ji mein aawe so kah tu 'taban' ko
laisa min fika shatamna be-qabih
Leave a comment