Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dakhlan Bhopali

  • Ghazal


abhi abhi hua hum tirgi se nikle hain


abhī abhī huā ham tīrgī se nikle haiñ
jahān-e-ishq kī andhī galī se nikle haiñ

kisī se kahte to ilzām apne sar aatā
ye hādisa thā so ham ḳhāmushī se nikle haiñ

hameñ yaqīn nahīñ hai kisī dikhāve meñ
so samt-e-hijr meñ ham sādgī se nikle haiñ

nahīñ hai qaid kisī dā.ere meñ apnī zaat
jahāñ bhī nikle haiñ āvārgī se nikle haiñ

hamārī aañkh meñ tinkā paḌā hai āñdhī se
kaho na ashk ye bechārgī se nikle haiñ

hameñ banā.e jo shā.ir nahīñ banā vo ġham
hamāre sher to nārāzgī se nikle haiñ

nazīr ban chuke haiñ rāh-e-ishq kī 'daḳhlan'
ye koī piir haiñ dīvāngī se nikle haiñ

abhi abhi hua hum tirgi se nikle hain
jahan-e-ishq ki andhi gali se nikle hain

kisi se kahte to ilzam apne sar aata
ye hadisa tha so hum KHamushi se nikle hain

hamein yaqin nahin hai kisi dikhawe mein
so samt-e-hijr mein hum sadgi se nikle hain

nahin hai qaid kisi daere mein apni zat
jahan bhi nikle hain aawargi se nikle hain

hamari aankh mein tinka paDa hai aandhi se
kaho na ashk ye bechaargi se nikle hain

hamein banae jo shair nahin bana wo gham
hamare sher to naraazgi se nikle hain

nazir ban chuke hain rah-e-ishq ki 'daKHlan'
ye koi pir hain diwangi se nikle hain


Leave a comment

+