dost dushman ne kiye qatl ke sāmāñ kyā kyā
jān-e-mushtāq ke paidā hue ḳhvāhāñ kyā kyā
āfateñ Dhātī hai vo nargis-e-fatāñ kyā kyā
daaġh detī hai mujhe gardish-e-daurāñ kyā kyā
phir sakī mere gale par na chhurī hai zālim
varna gardūñ se hue kār-e-numāyāñ kyā kyā
husn meñ pahlū-e-ḳhurshīd magar dābegā
duur khiñchtā hai hamārā mah-e-tābāñ kyā kyā
rū-e-dilbar kī safā se thā baḌā hī da.avā
sāmne ho ke huā aa.ina hairāñ kyā kyā
āñkheñ gesū ke tasavvur meñ rahā kartī haiñ band
lutf dikhlātā hai ye ḳhvāb-e-pareshāñ kyā kyā
gardish-e-chashm dikhātā hai kabhī gardish-e-jām
merī tadbīr meñ phirtā hai ye daurāñ kyā kyā
chashm-e-bīnā bhī atā kī dil-e-āgah bhī diyā
mere allāh ne mujh par kiye ehsāñ kyā kyā
dost ne jab na dam-e-zabh sisaktā chhoḌā
mere dushman hue hañs hañs ke pashemāñ kyā kyā
gardish-e-nargis-e-fattāñ ne to dīvāna kiyā
dekho jañkvā.e kuñ.eñ chāh-e-zanaḳhdāñ kyā kyā
jal gayā aag meñ aap apne maiñ mānind-e-chīnār
pīste rah ga.e daañt arra-o-sohāñ kyā kyā
kuchh kahe koī maiñ muñh dekh ke rah jaatā huuñ
kam dimāġhī ne kiyā hai mujhe hairāñ kyā kyā
garm hargiz na huā pahlū-e-ḳhālī be-yār
yaad āvegī mujhe fasl-e-zamistāñ kyā kyā
koī mardūd-e-ḳhalā.iq nahīñ mujh sā 'ātish'
kyā kahūñ kahte haiñ hindū-o-musalmāñ kyā kyā
dost dushman ne kiye qatl ke saman kya kya
jaan-e-mushtaq ke paida hue KHwahan kya kya
aafaten Dhati hai wo nargis-e-fatan kya kya
dagh deti hai mujhe gardish-e-dauran kya kya
phir saki mere gale par na chhuri hai zalim
warna gardun se hue kar-e-numayan kya kya
husn mein pahlu-e-KHurshid magar dabega
dur khinchta hai hamara mah-e-taban kya kya
ru-e-dilbar ki safa se tha baDa hi dawa
samne ho ke hua aaina hairan kya kya
aankhen gesu ke tasawwur mein raha karti hain band
lutf dikhlata hai ye KHwab-e-pareshan kya kya
gardish-e-chashm dikhata hai kabhi gardish-e-jam
meri tadbir mein phirta hai ye dauran kya kya
chashm-e-bina bhi ata ki dil-e-agah bhi diya
mere allah ne mujh par kiye ehsan kya kya
dost ne jab na dam-e-zabh sisakta chhoDa
mere dushman hue hans hans ke pasheman kya kya
gardish-e-nargis-e-fattan ne to diwana kiya
dekho jankwae kunen chah-e-zanaKHdan kya kya
jal gaya aag mein aap apne main manind-e-chinar
piste rah gae dant arra-o-sohan kya kya
kuchh kahe koi main munh dekh ke rah jata hun
kam dimaghi ne kiya hai mujhe hairan kya kya
garm hargiz na hua pahlu-e-KHali be-yar
yaad aawegi mujhe fasl-e-zamistan kya kya
koi mardud-e-KHalaiq nahin mujh sa 'atish'
kya kahun kahte hain hindu-o-musalman kya kya
Source: Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish
Leave a comment