Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Jafri

  • Ghazal


zaKHmon ko mere dil ke sajao to bane baat


zaḳhmoñ ko mere dil ke sajāo to bane baat
ye kaam hameñ kar ke dikhāo to bane baat

kyuuñ bahr-etamannā meñ nahīñ koī bhī halchal
tūfān koī us meñ jagāo to bane baat

jiine ke liye un kā tasavvur bhī bahut hai
be-ās hameñ jī ke batāo to bane baat

jalne ko to yuuñ ḳhuun bhī jal jā.egā lekin
paanī meñ zarā aag lagāo to bane baat

duniyā meñ talab hī kā tamāsha to lagā hai
mansūr hameñ ban ke dikhāo to bane baat

girtī huī dīvār kā saaya na batāo
phir se na.ī dīvār uThāo to bane baat

zaKHmon ko mere dil ke sajao to bane baat
ye kaam hamein kar ke dikhao to bane baat

kyun bahr-etamanna mein nahin koi bhi halchal
tufan koi us mein jagao to bane baat

jine ke liye un ka tasawwur bhi bahut hai
be-as hamein ji ke batao to bane baat

jalne ko to yun KHun bhi jal jaega lekin
pani mein zara aag lagao to bane baat

duniya mein talab hi ka tamasha to laga hai
mansur hamein ban ke dikhao to bane baat

girti hui diwar ka saya na batao
phir se nai diwar uThao to bane baat


Source: Qindeel

Leave a comment

+