Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


ab ke baras honTon se mere tishna-labi bhi KHatm hui


ab ke baras hoñToñ se mere tishna-labī bhī ḳhatm hui
tujh se milne kī ai dariyā majbūrī bhī ḳhatm huī

kaisā pyaar kahāñ kī ulfat ishq kī baat to jaane do
mere liye ab us ke dil se hamdardī bhī ḳhatm huī

sāmne vaalī building meñ ab kaam hai bas ārā.ish kā
kal tak jo miltī thī hameñ vo mazdūrī bhī ḳhatm huī

jail se vāpas aa kar us ne pān.cho vaqt namāz paḌhī
muñh bhī band hue sab ke aur badnāmī bhī ḳhatm huī

jis kī jal-dhārā se bastī vaale jīvan paate the
rasta badalte hī naddī ke vo bastī bhī ḳhatm huī

ab ke baras honTon se mere tishna-labi bhi KHatm hui
tujh se milne ki ai dariya majburi bhi KHatm hui

kaisa pyar kahan ki ulfat ishq ki baat to jaane do
mere liye ab us ke dil se hamdardi bhi KHatm hui

samne wali building mein ab kaam hai bas aaraish ka
kal tak jo milti thi hamein wo mazduri bhi KHatm hui

jail se wapas aa kar us ne pancho waqt namaz paDhi
munh bhi band hue sab ke aur badnami bhi KHatm hui

jis ki jal-dhaara se basti wale jiwan pate the
rasta badalte hi naddi ke wo basti bhi KHatm hui


Source: Book : Kashkol (Pg. 66) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+