Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


baghair uske ab aaram bhi nahin aata


baġhair us ke ab ārām bhī nahīñ aatā
vo shaḳhs jis kā mujhe naam bhī nahīñ aatā

usī kī shakl mujhe chāñd meñ nazar aa.e
vo māh-ruḳh jo lab-e-bām bhī nahīñ aatā

karūñgā kyā jo mohabbat meñ ho gayā nākām
mujhe to aur koī kaam bhī nahīñ aatā

biThā diyā mujhe dariyā ke us kināre par
jidhar hubāb tahī-jām bhī nahīñ aatā

churā ke ḳhvāb vo āñkhoñ ko rehn rakhtā hai
aur us ke sar koī ilzām bhī nahīñ aatā

baghair us ke ab aaram bhi nahin aata
wo shaKHs jis ka mujhe nam bhi nahin aata

usi ki shakl mujhe chand mein nazar aae
wo mah-ruKH jo lab-e-baam bhi nahin aata

karunga kya jo mohabbat mein ho gaya nakaam
mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata

biTha diya mujhe dariya ke us kinare par
jidhar hubab tahi-jam bhi nahin aata

chura ke KHwab wo aankhon ko rehn rakhta hai
aur us ke sar koi ilzam bhi nahin aata

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ghulam Mohammad Qasir Unknown

Leave a comment

+