qad ke lihāz se to sabhī āsmān the
ham jaise bā-kamāl magar be-nishān the
jiite na the guzārte rahte the roz-o-shab
sāñseñ na thiiñ qadam-ba-qadam imtihān the
tanhā nihatte laḌte rahe zindagī kī jañg
lashkar thā saath aur na tīr-o-kamān the
ai ajnabī na pūchh udāsī kā mājrā
vo log kho ga.e haiñ jo bastī kī jaan the
rishtoñ kī ūñch-nīch se vāqif na thā 'hanīf'
mere aziiz mujh se bahut bad-gumān the
qad ke lihaz se to sabhi aasman the
hum jaise ba-kamal magar be-nishan the
jite na the guzarte rahte the roz-o-shab
sansen na thin qadam-ba-qadam imtihan the
tanha nihatte laDte rahe zindagi ki jang
lashkar tha sath aur na tir-o-kaman the
ai ajnabi na puchh udasi ka majra
wo log kho gae hain jo basti ki jaan the
rishton ki unch-nich se waqif na tha 'hanif'
mere aziz mujh se bahut bad-guman the
Leave a comment