ammāñ se mile biivī ke zevar kī tarah hai
ḳhuddārī mire paas dharohar kī tarah hai
is moḌ pe pahuñchā hai ka.ī saal gañvā kar
vo shaḳhs bhī qistoñ meñ bane ghar kī tarah hai
aa jā.egā āsānī se ab mujh ko sambhalnā
aadat tirī mere liye Thokar kī tarah hai
aatā hai vahī kaam musībat ke dinoñ meñ
farzand mire ghar meñ bhī lofar kī tarah haiñ
amman se mile biwi ke zewar ki tarah hai
KHuddari mere pas dharohar ki tarah hai
is moD pe pahuncha hai kai sal ganwa kar
wo shaKHs bhi qiston mein bane ghar ki tarah hai
aa jaega aasani se ab mujh ko sambhalna
aadat teri mere liye Thokar ki tarah hai
aata hai wahi kaam musibat ke dinon mein
farzand mere ghar mein bhi lofar ki tarah hain
Source: Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 81) Author : Pratap Somvanshi Publication : Vani Prakashan (2016) Edition : 2016
Leave a comment