Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere


meñ na kahtā thā ki shahroñ meñ na jā yaar mire
soñdhī miTTī hī meñ hotī hai vafā yaar mire

koī TuuTe hue ḳhvāboñ se kahāñ miltā hai
har jagah dard kā bistar na lagā yaar mire

silsila phir se juḌā hai to juḌā rahne de
dil ke rishtoñ ko tamāsha na banā yaar mire

apnī chāhat ke shab-o-roz mukammal kar le
jā ye sūraj bhī tire naam kiyā yaar mire

tujh se miltā huuñ to rishta koī yaad aatā hai
silsila mujh se ziyāda na baḌhā yaar mire

aisā lagtā hai ki kuchh TuuT rahā hai mujh meñ
chhoḌ ke tū mujhe is vaqt na jā yaar mire

ḳhush-nasībī se ye saa.at tire haath aa.ī hai
āsmāñ jhukne lagā haath baḌhā yaar mire

mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere
sondhi miTTi hi mein hoti hai wafa yar mere

koi TuTe hue KHwabon se kahan milta hai
har jagah dard ka bistar na laga yar mere

silsila phir se juDa hai to juDa rahne de
dil ke rishton ko tamasha na bana yar mere

apni chahat ke shab-o-roz mukammal kar le
ja ye suraj bhi tere nam kiya yar mere

tujh se milta hun to rishta koi yaad aata hai
silsila mujh se ziyaada na baDha yar mere

aisa lagta hai ki kuchh TuT raha hai mujh mein
chhoD ke tu mujhe is waqt na ja yar mere

KHush-nasibi se ye saat tere hath aai hai
aasman jhukne laga hath baDha yar mere


Source: Book : Kashkol (Pg. 105) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+