Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

  • Ghazal


jo tujhse shor-e-tabassum zara kami hogi


jo tujh se shor-e-tabassum zarā kamī hogī
hamāre zaḳhm-e-jigar kī baḌī hañsī hogī

rahā na hogā mirā shauq-e-qatl be-tahsīñ
zabān-e-ḳhanjar-e-qātil ne daad dī hogī

tirī nigāh-e-tajassus bhī pā nahīñ saktī
us aarzū ko jo dil meñ kahīñ chhupī hogī

mire to dil meñ vahī shauq hai jo pahle thā
kuchh aap hī kī tabī.at badal ga.ī hogī

bujhī dikhā.ī to detī hai aag ulfat kī
magar vo dil ke kisī goshe meñ dabī hogī

koī ġhazal meñ ġhazal hai ye hazrat-e-'vahshat'
ḳhayāl thā ki ġhazal aap ne kahī hogī

jo tujh se shor-e-tabassum zara kami hogi
hamare zaKHm-e-jigar ki baDi hansi hogi

raha na hoga mera shauq-e-qatl be-tahsin
zaban-e-KHanjar-e-qatil ne dad di hogi

teri nigah-e-tajassus bhi pa nahin sakti
us aarzu ko jo dil mein kahin chhupi hogi

mere to dil mein wahi shauq hai jo pahle tha
kuchh aap hi ki tabiat badal gai hogi

bujhi dikhai to deti hai aag ulfat ki
magar wo dil ke kisi goshe mein dabi hogi

koi ghazal mein ghazal hai ye hazrat-e-'wahshat'
KHayal tha ki ghazal aap ne kahi hogi


Leave a comment

+