Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Arif

  • Ghazal


ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen


ye bastiyāñ haiñ ki maqtal duā kiye jaa.eñ
duā ke din haiñ musalsal duā kiye jaa.eñ

koī fuġhāñ koī naala koī bukā koī bain
khulegā bāb-e-muqaffal duā kiye jaa.eñ

ye iztirāb ye lambā safar ye tanhā.ī
ye raat aur ye jañgal duā kiye jaa.eñ

bahāl ho ke rahegī fazā-e-ḳhitta-e-ḳhair
ye habs hogā mo.attal duā kiye jaa.eñ

guzishtagān-e-mohabbat ke ḳhvāb kī saugand
vo ḳhvāb hogā mukammal duā kiye jaa.eñ

havā.e sarkash o saffāk ke muqābil bhī
ye dil bujheñge na mish.al duā kiye jaa.eñ

ġhubār uḌātī jhulastī huī zamīnoñ par
umañD ke ā.eñge bādal duā kiye jaa.eñ

qubūl honā muqaddar hai harf-e-ḳhālis kā
har ek aan har ik pal duā kiye jaa.eñ

ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen
dua ke din hain musalsal dua kiye jaen

koi fughan koi nala koi buka koi bain
khulega bab-e-muqaffal dua kiye jaen

ye iztirab ye lamba safar ye tanhai
ye raat aur ye jangal dua kiye jaen

bahaal ho ke rahegi faza-e-KHitta-e-KHair
ye habs hoga moattal dua kiye jaen

guzishtagan-e-mohabbat ke KHwab ki saugand
wo KHwab hoga mukammal dua kiye jaen

hawae sarkash o saffak ke muqabil bhi
ye dil bujhenge na mishal dua kiye jaen

ghubar uDati jhulasti hui zaminon par
umanD ke aaenge baadal dua kiye jaen

qubul hona muqaddar hai harf-e-KHalis ka
har ek aan har ek pal dua kiye jaen

RECITATIONS Iftikhar Arif



00:00/00:00 ye bastiyan hain ki maqtal dua kiye jaen Iftikhar Arif

Source: Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 34)

Leave a comment

+