jo ba-zāhir sahar-āsār nazar aate haiñ
vo bhī andar se shab-e-tār nazar aate haiñ
kījiye kis se yahāñ qadr-e-hunar kī ummīd
ab vo darbār na dur-bār nazar aate haiñ
kam se kam apne garebāñ hī ke purze karte
haath par haath dhare yaar nazar aate haiñ
shahr-dar-shahr makānoñ meñ añdherā hai magar
jagmagāte hue bāzār nazar aate haiñ
kaun āvāz uThā.egā hamāre haq meñ
sab tire hāshiya-bardār nazar aate haiñ
ye bhī mumkin hai ki uḌ jaa.eñ to lauTeñ na kabhī
jitne bachche haiñ vo par-dār nazar aate haiñ
kitnī dilkash hai ye ummīd kī rañg-āmezī
sañg-dil log bhī dildār nazar aate haiñ
vo rahe hoñge nazākat meñ kabhī shāḳh-e-gulāb
ab to jab dekhiye talvār nazar aate haiñ
kis kī aamad hai ġharīboñ ke galī-kūche meñ
ujle ujle dar-o-dīvār nazar aate haiñ
jin ke dīdār ko firdaus-e-tamāshā kahiye
zindagī meñ kahīñ ik baar nazar aate haiñ
shoḳhī-e-naqsh-e-qadam hai ki gulāboñ kī qatār
rāste sab gul-o-gulzār nazar aate haiñ
jo har ik band se āzād haiñ vo bhī 'māhir'
apnī ḳhaslat ke giraftār nazar aate haiñ
jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain
wo bhi andar se shab-e-tar nazar aate hain
kijiye kis se yahan qadr-e-hunar ki ummid
ab wo darbar na dur-bar nazar aate hain
kam se kam apne gareban hi ke purze karte
hath par hath dhare yar nazar aate hain
shahr-dar-shahr makanon mein andhera hai magar
jagmagate hue bazar nazar aate hain
kaun aawaz uThaega hamare haq mein
sab tere hashiya-bardar nazar aate hain
ye bhi mumkin hai ki uD jaen to lauTen na kabhi
jitne bachche hain wo par-dar nazar aate hain
kitni dilkash hai ye ummid ki rang-amezi
sang-dil log bhi dildar nazar aate hain
wo rahe honge nazakat mein kabhi shaKH-e-gulab
ab to jab dekhiye talwar nazar aate hain
kis ki aamad hai gharibon ke gali-kuche mein
ujle ujle dar-o-diwar nazar aate hain
jin ke didar ko firdaus-e-tamasha kahiye
zindagi mein kahin ek bar nazar aate hain
shoKHi-e-naqsh-e-qadam hai ki gulabon ki qatar
raste sab gul-o-gulzar nazar aate hain
jo har ek band se aazad hain wo bhi 'mahir'
apni KHaslat ke giraftar nazar aate hain
Source: Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 163) Author : Mahir Abdul Hayee Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008) Edition : 2008
Leave a comment