Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taj Saeed

  • Ghazal


kis ne aa kar hum ko di aawaz pichhli raat mein


kis ne aa kar ham ko dī āvāz pichhlī raat meñ
kaun ham ko chheḌne aayā hai in lamhāt meñ

ham mile the maal par kal jis lachaktī Daal se
kāñch kī thiiñ chūḌiyāñ us mah-jabīñ ke haat meñ

rūh-parvar kaifiyat mausam kī thī phir us kā saath
yaar samjhe ham ne daarū pī hai is barsāt meñ

sabz peḌoñ kī suneñ yā un se phir apnī kaheñ
der tak uljhe rahe kal ham usī ik baat meñ

tez chaltī thī havā aur Dolte the peḌ bhī
guftugū un se huī thī ik añdherī raat meñ

mābadoñ kī ghanTiyāñ kal ekā-ekī baj uThīñ
jaane kis ne un ko chheḌā pur-sukūñ hālāt meñ

pyaar kī rut is tarah aa.ī ki sab hairān the
ek ham hī to na be-qābū hue jazbāt meñ

kis ne aa kar hum ko di aawaz pichhli raat mein
kaun hum ko chheDne aaya hai in lamhat mein

hum mile the mal par kal jis lachakti Dal se
kanch ki thin chuDiyan us mah-jabin ke hat mein

ruh-parwar kaifiyat mausam ki thi phir us ka sath
yar samjhe hum ne daru pi hai is barsat mein

sabz peDon ki sunen ya un se phir apni kahen
der tak uljhe rahe kal hum usi ek baat mein

tez chalti thi hawa aur Dolte the peD bhi
guftugu un se hui thi ek andheri raat mein

mabadon ki ghanTiyan kal eka-eki baj uThin
jaane kis ne un ko chheDa pur-sukun haalat mein

pyar ki rut is tarah aai ki sab hairan the
ek hum hi to na be-qabu hue jazbaat mein


Leave a comment

+